Sad Love Sayari

Main Toot
Main Toot Ke Bikhar Gaya Ye Mahaz Itefaaq Tha
Main Bhi Toh Kal Kisi Ki Nargishi Akhon Ka Khawaab Tha
Aaj To Gagan Ke Taare Bhi Meri Haalat Pe Hansaa Karte Hain
Ye Kal Ki Hi Baat Hai Ki Meri Baahon Mein Mehtaab Tha

Apne Dil
Apne Dil Mein Tumhare Pyar Ki Dastaan Likhi Hai
Na Thodi Na Bahut Tamaam Likhi Hai
Kabhi Humaare Liye Bhi Dua Kar Liya Karo
Kyon Ki Humne Apni Har Ik Saans Tumhare Naam Likhi Hai

ऐसे रुखसत
ऐसे रुखसत होंगे तेरे दर से ये कभी सोचा न था
वो मिटा देंगे अपने हर ज़िक्र से कभी सोचा न था
खुद कि निगाह में कोई कमी न थी अपनी वफा में
बस ये ही खता है उसकी नज़र से कभी सोचा न था
अपने दिल में लिए उसे हम अपना ही समझते रहे
उसके दिल में हम किधर हैं ये तो कभी सोचा न था!

Muddton Ke
Muddton Ke Baad Aaj Fir Us se
Sapne Mein Mulaqat Ho Gayi
Badi Der Se Aankhein Sookhi Thi
Aaj Fir Barsaat Ho Gayi
Kaise Mita du Uski Yaadon Ko Is Dil Se
Poori Zindagi Se Lambi Aaj Ki Raat Ho Gayi

Mera Har
Mera Har Lamha Tumhare Hi Naam Hoga
Ab Ye Jeevan Bhi Tumpe Hi Qurban Hoga
Tere Har Gum Ko Sine Mein Chhupa Lunga
Aakhiri Waqt Mein Labo Par Tera Hi Naam Hoga

Aisa Hota
Aisa Hota Nahi Ki Aapki Hume Yaad Na Aaye
Baat Sirf Itni Hai Ki Hum Kabhi Jata Na Paye
Pyar Tumhara Humare Liye Anmol Hai Sanam
Mauka Diya Nahi Tumne Aur Hum Dikha Na Paye

Log Kehte
Log Kehte Hain Har Rishta Nibhana Mushkil Hai
Dil Mein Jo Bas Jaye Use Bhul Pana Mushkil Hai
Hum Kehte Hain Pyar To Sirf Ek Ehsaas Hota Hai
Par Us Ehsas Ke Saath Zindagi Gujarna Mushkil Hai

Tumhare Gum
Tumhare Gum Bhi Hum Apne Sine Mein Chhupa Lenge
Tumhare Aansu Bhi Hum Apni Aankho Se Baha Lenge
Bas Ek Baar Tum Humpe Aitbaar Karke Dekh Lo Sanam
Khuda Ki Kasam Tumhe Apne Sine Mein Basa Lenge

Dil Mein Unki
Dil Mein Unki Yaado Ki Ek Jhalak Si Rehti Hai
In Hawao Mein Harpal Unki Mehak Si Rehti Hai
Dil Ko Intzar Hai Humesha Bas Unke Aane Ka
Hume Unse Milne Ki Ab Ek Kasak Si Rehti Hai







I Love You

I love you so deeply, I love you so much, I love the sound of your voice And the way that we touch. I love your warm smile And your kin...